ho mubarak shaafie roze jaza paida hua
aaj daswa naayebe qairul wara paida hua
itrate at'haar ka choutha ali aali muqaam
ham sharaf ye hydere karrar ka paida hua
hai naqi haadi wali jiske laqab wo shaahedee'n
jaanasheene murtaza salle alaa paida hua
hai mohammad dekh kar rue pisar shaadaa'n bohot
hoobahu jo ham shabeehe murtaza paida hua
kya fazeelat ho baya'n daswe imaame paak ki
misle jadd badrud'doja shamsuzzoha paida hua
hukm raane do jaha'n farma rawaae saamera
taajdaare dee'n imame do sara paida hua