aaj naayeb sayyade sajjad ka paida hua
hazrate baaqar shahe har dosara paida hua
quld me hai shaad behad ahmade muqtaar aaj
paanchwa masnad nasheene mustafa paida hua
de rahe hai tehniyat sab hazrate shabbir ko
aaj pota chaand sa shabbir ka paida hua
dekh kar pote ki surat shaad hai behad hussain
kehte hai salle alaa kya mailaqa paida hua
zainab o kulsoom qush hai shaad hai abbas bhi
aaj fazle haq se pota chand sa paida hua
sabr se is shaahe dee'n ke ban gaya umamt ka kaam
nasire dee'n fidya e raahe quda paida hua
shaad hai hur o malak masroor hai sab inso jin
haadiye dee'n shaafiye roze jaza paida hua
hazireene jashn ka bar aaye ya rab mud'duaa
sadqa is moulood ka jo mailaqa paida hua