Kanz e Aza

Baba rula raha hai bazar ka yeh manzar

A noha for Imam Mohd Baqar (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Shaam haay shaam shaam haay shaam

Shaam haay shaam shaam haay shaam


Sajjad (as) se yeh bole Baqir tadap tadap kar.

Baba rula raha hai bazar ka yeh manzar.

1) uth the qadam nahi hai dukhthi hai meri gardan x2times

Zaalim ne dara raha hai naiza dikha dikha Kar.


Baba baba baba


2)kis jurm ki katah hai qaidi hame banaya x2times

Baba phiraa rahe hai kis waste ko dar dar.


Baba baba baba


3)ahle haya ka kunba majme me be haya ke x2times

Har saans nouhagar hai girya kuna hai chadar.


Baba baba baba


4)bara gale hai baba aur woh bhi ek rasan x2times

Kaise chale batao choota hai tera baqir (as)


Baba baba baba


5)har gaam sakhtiyaa hai durre hai aur tamache x2times

Dushwaar zindagi hai be dard hai sitamgar.


Baba baba baba


6) baba suno sadaye kehti hai dhadkane yeh x2times

Baba har ek lamhe guzre hai misle khanjar.


Shaam haay shaam shaam haay shaam x2times


7) hairat zada qalam hai kirtaas nouhagar hai x2times

Baqir (as) kamsini ke likhna sakenga Yawar

Sajjad (as) se yeh bole Baqir (as) tadap tadap kar

Baby rula raha hai Bazaar ka yeh manzar


Shaam haay shaam shaam haay shaam


X2 times


Baba baba baba

Baba baba baba