Baqir (as) ki shahadat pe qayamat ka Sama hai
Kausar me talatum hai zam zam me dhuwa hai.
1)har ek malak khoon ke ansoo se hai roota.
Sar apna patakti hui har hoor e jinaa hai.
2)karbal ka musafir hai ye sajjad (as) ka beta.
Ruqsaar pe jiske abhi tamachoo ke nishaan hai.
3) dekhe the sabhi shaam ke bazaar ke manzar.
Yoo chasme imaamat se lahoo ab bhi rawaan hai.
4) sajjad (as) ke langar me jo baqir (as) ka gala tha.
Hulqoom pe yoo inke bhi rassi ka nishaan hai.
5) zaalim se sinaan aise kaleje pe hai Maari.
Marqad me Mohammed (as) ko bhi armaan kaha hai.
6) jis din se raza qatl hue baqir e muztar.
Us rooz se jafar (as) ka jigar gham se tapaan hai.