farmate the sar peet ke ye jafare sadiq, haye haye mere baba
aye morinde andoh bala deen ke aashiq, haye haye mere baba
haasil na hui haaye shifa aapko aaqa, aye sarware waala
kaisi ye qaza aagayi aye mus'hafe naatiq, haye haye mere baba
kuch qoufe quda bhi na kiya aah wo gumraah, be wajha sataaya
kis darja sitamgaar tha afsos wo faasiq, haye haye mere baba
hai dushmane dee'n shaad bohot deke tumhe sam, aye shaahe do aalam
hai qaak basar sarfe buka aapke aashiq. haye haye mere baba
ummat ki hidaayat se sada kaam tha tumko, aye syede qushqo
har baat me paate the layee'n aapko saadiq, haye haye mere baba