dunya se aaj paanchwa rehbar guzar gaya
sajjade dil figaar ka dilbar guzar gaya
jaafar yateem hogaye baqar ne ki qaza
bewa ke bain hai mera sarwar guzar gaya
hazrat ko zehr zeen me hashhaam ne diya
hokar shaheed aashiqe daawar guzar gaya
seh kar azal se zulmo sitam ashqiya' ke aah
haye haye imaam bekaso muztar guzar gaya
bacche yateem ho gaye ghar ho gaya tabaah
kohraam hai ke paanchwa sarwar guzar gaya
sar peet aye hussaini tera paanchwa imaam
seh seh ke zulm aaj jahan se guzar gaya