Kanz e Aza

Baba Sakina Ko

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

baba sakina ko ab godh mein lelo


mere baba ye kaise toote sitam

sunaun kis ko mai roodad e alam

tum waqif ho ab koi nahi hai mera

ghar lut gaya saara

bas aakhri ek baar seene se laga lo

baba sakina ko...


akele kyun mujhe tum chod gaye

chaheeti beti se moo mod gaye

beti ko koi yun kar deta hai tanha

dil rota hai mera

bas aakhri ek baar seene se laga lo

baba sakina ko...


tamache khaayi aur mai ro na saki

tumhari yaad mein mai so na saki

is beti ka bistar tha tumhara seena

ab khaak bichona

bas aakhri ek baar seene se laga lo

baba sakina ko...


akele so gaye tum maqtal mein

tumhe dhoondu kahan mai jangal mein

hai bikhre huwe maidan mein saare laashe

har soo sannate

bas aakhri ek baar seene se laga lo

baba sakina ko...


hai zakhmi raaste ghurbat ka safar

rulaate hai mujhe saare manzar

oonton se wo nanhe bachon ka gir jaana

maa'on ka tadapna

bas aakhri ek baar seene se laga lo

baba sakina ko...


teri beti mein ab himmat bhi nahi

pukarun kis ko mai taaqat bhi nahi

khulwado zara aa kar gardan ki rassi

dam ghut'ta hai mera

bas aakhri ek baar seene se laga lo

baba sakina ko...


nighaon mein kisi ka zakhmi badan

wahin baithi hui ek bewa dulhan

ek maa ki nighaon mein hai nanha laasha

aur khaali jhoola

bas aakhri ek baar seene se laga lo

baba sakina ko...