aaj roze aza hai waawaila
sheh ka maatam bapa hai waawaila
dia hushhaam zehr baaqar ko
ek dam bhi nahi mila aaram
zulm sheh par hua hai waawaila
qaak udaate hai betiya'n bete
shore aaho buka hai waawaila
bain bewa ye karti hai rokar
raaj mera luta hai waawaila
ro rahe hai yateem baaqar ke
ghar se laasha chala hai waawaila