kufe ki galiyon mein kohraam hai
uth gaya baap ka sar se saaya
aaj zainab yateem ho gayi
ro rahe hai ye mehrab o mimbar
keh rahe hai ye jibreel ro kar
ibne muljim ne ye zulm dhaaya
aaj zainab yateem...
arsh par mustafa ro rahe hai
sab ke sab ambiya ro rahe hai
hai farishton mein kohraam barpa
aaj zainab yateem...
kaise unneeswi ki sahar thi
ye sahar ek gham ki pahar thi
ibne muljim sitam tu ne dhaaya
aaj zainab yateem...
koi kulsoom ko de dilaasa
aur tadapti hai gham se khadija
maula abbas karte hai girya
aaj zainab yateem...
kitne hai log kufe mein aise
jin ke maula ne dukh dard baate
chin gaya aaj unka maseeha
aaj zainab yateem...
ghar mein farsh e aza bich gaya hai
aaj kufe mein matam bapa hai
sogh mein dooba ghar sayyeda ka
aaj zainab yateem...
uth raha hai janaza ali ka
ek mehshar ka aalam hai barpa
sab ke honton pe hai ek nauha
aaj zainab yateem...
bain karte hai farhan o mazhar
farsh e majlis pe ye baat keh kar
dijiye apni bibi ko pursa
aaj zainab yateem...