Kanz e Aza

Aasman Barsa De

A noha written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

aasman barsa de pani

pani barsa de aasman


dekh wo pyase bacche sheh ke

haathon mein hai khaali kooze

dekh udhar darya ki rawani

us pe sitam hai tashna dahani

aasman barsa de pani...


maalik e kausar pani ko tarse

aur pani phir bhi na barse

sookhe hai lab aur zubanein

rukne lagi saanson ki rawani

aasman barsa de pani...


aasman tujhko taras na aaya

ab tak na pani barsaya

sookhe huwe kooze bhi sunaye

tishna labon ke gham ki kahani

aasman barsa de pani...


dasht mein har soo zulm ke lashkar

pehre lagaye hai pani par

qaid hui darya ki maujein

ghere huwe hai zulm ke baani

aasman barsa de pani...


tu to hai sairaab is neymat se

soch zara lekin shiddat se

tujhko jaa kar kaun bataye

tashna labi ke kya hai mu’aani

aasman barsa de pani...


dekhna ek din aayega wo

pani se mehroom rahe jo

saare jag mein hongi sabeelein

tashna labon ki ban ke nishani

aasman barsa de pani...


kehti hai tujhse khaak e bayaban

bacche hai betaab hirasan

aati hai rone ki sadayein

kehte hai ro kar pani pani

aasman barsa de pani...


kaun hai in par rehm jo khaaye

aur pyason ko pani pilaye

door hai ye apne watan se

aaye hai kar ke naql makani

aasman barsa de pani...


ashkon se apni pyaas bujhayi

pyase dete hai ye duhaai

dekh ke rote han darya ko

sookhe labon ka rang hai dhaani

aasman barsa de pani...


aaj bhi dil par zakhm hai taaza

is se tu kar le andaaza

pani piyein farhan o mazhar

pyason pe kar ke fateha khwani

aasman barsa de pani...