Kanz e Aza

Abbas Hai Na

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

sab ki ridaon ka nigehdaar hai

ghazi mera aisa wafadaar hai

cheen nahi sakta koi chadarein

jab talak abbas alamdaar hai


ye kehke behno ko zainab ka tasalli dena

abbas hai na abbas hai na


har ek behan ko bhai pe maan hota hai

jahan mein bhai to behno ki jaan hota hai

ghamon ki dhoop mein wo sayeban hota hai

bas is yaqeen se qaimon mein mutmain rehna

abbas hai na abbas hai na

ye kehke behno ko...


haram ki aas bandhaati raho meri khwahar

batao in ko bharosa hai kitna ghazi par

rahe wo baazu salamat dua karo mil kar

nazar utha ke dar e qaima par to dekho na

abbas hai na abbas hai na

ye kehke behno ko...


isi ke saath amaari mein aayi thi ghar se

bahot mujhe bhi hai dhaaras isi baradar se

na hone dega wo mehroom hum ko chadar se

bade jo ranj ke saaye to bas yehi kehna

abbas hai na abbas hai na

ye kehke behno ko...


dikhayi de tumhe jis dam yazeed ka lashkar

dikhaye wo tumhe talwar o naiza o khanjar

chamakhte naizon pe pad jaaye gar tumhari nazar

tum apne dil mein jagah khauf ko nahi dena

abbas hai na abbas hai na

ye kehke behno ko...


kaha ye ghazi ne kulsoom se meri khwahar

fida hussain pe har maa karegi apne pisar

jo tere bete nahi hai to koi gham na kar

teri taraf se fida sheh pe hone ko behna

abbas hai na abbas hai na

ye kehke behno ko...


phupi ye boli sakina se ay meri bacchi

chacha se kehdo wo le aayenge abhi pani

ye mashk kya hai wo darya utha ke laa de abhi

bas apni aankh mein aansu nahi aane dena

abbas hai na abbas hai na

ye kehke behno ko...


bayan kaise wo manzar ho dono jaanib ka

udhar tarayi pe ghazi ka mashk ko bharna

kate jo baazu chhidi mashk saara pani baha

idhar sakina ka pyason ko dilaasa dena

abbas hai na abbas hai na

ye kehke behno ko...


tere hasham pe hai qurban mazhar o farhan

alam gharon pe lagata hai aaj saara jahan

hai tu hi ab bhi ghareebon ka bekason ka maan

alam ko dekh ke har waqt bas yehi kehna

abbas hai na abbas hai na

ye kehke behno ko...