Kanz e Aza

Abbas Hoo

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

pad raha hai rajas ghazi e bawafa

mehn mein sayyeda ke tu hai alqama

behti hai tu jahan hai elaaqa mera

kya mere naam se tu nahi aashna

abbas hoo abbas hoo pani to leke jaunga


dosh pe hai parcham ko uthaye

mashk hai kaandhe par rakhi

rok sake ye fauj e sitam

ab kis mein taaqat hai itni

mai ali ka laal hoo darya

utha le jaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...


chaand bani hashim ka mai hoo

saari dunya jaanti hai

apni chadar ka zaamin bhi

binte zehra maanti hai

hai ragon mein khoon kis ka

aaj ye batlaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...


taygh mere maula ne nahi di

haath mein bas ek naiza hai

phir bhi khyber khandaq jaisa

aaj ye mera hamla hai

koi marhab hai to aaye

usko do kar jaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...


nehr to kya hai saath samandar

bhar loo ek mashkeeze mein

dekh lo ek hamle mein aaya

darya mere qabze mein

tashnalab hoo tashnagi mein

pyaas le ke jaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...


ye jo wafa rag rag mein bhari hai

ye to dua e zehra hai

mere alam ke saaye par bhi

unki rida ka saaya hai

de dua zehra mujhe aisi

wafa dikhlaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...


haath kate ya sar kat jaaye

phir bhi alam lehrayega

saahil se ab mera parcham

koi hata na paayega

aaj se jageer-daare

karbala kehlaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...


khaali kooza haath mein lekar

dar pe sakina hai jo khadi

is pe sadqe mere baazu

is pe nichawar pyaas meri

is ne gar pani na paaya

jeete ji mar jaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...


waada kar ke aaya hoo mai

pyaas ke maare bachon se

ab to khareedunga mai pani

apne jigar ka khoon deke

mashk khaali reh gayi to

laut kar na jaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...


aaj bhi hai rehaan o raza ye

darya ki faryadon mein

kaise jaa ke bich jaaye ye

maujein uske qadmon mein

jo ye kehta tha yahan se

mashk bhar ke jaunga

haa mai abbas hoo haa mai abbas hoo

abbas hoo abbas hoo...