Kanz e Aza

Abbas Ja Rahe Hai

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

bacche tadap rahe hai

abbas jaa rahe hai

har bibi ro rahi hai

abbas jaa rahe hai

apne rida ko zainab

haye hasrat se dekhti hai


abbas jaa rahe hai


sookhe huwe labon par

bachon zaban na phero

mashk o alam ko dekho

kuch dayr mein yahan tak

khud nehr aa rahi hai

abbas jaa rahe hai...


kyun mashk tum ne dedi

ghazi ko shahzaadi

ay ranj o gham ki aadi

khush kyun hai ay sakina

kuch dayr ki khushi hai

abbas jaa rahe hai...


jhukne lagi kamar hai

abbas ka safar hai

sheh mar na jaaye darr hai

aafat gham o alam ki

sarwar pe gir padi hai

abbas jaa rahe hai...


ek shor e al-atash hai

phaila hua faza mein

masroof hai dua mein

kya sog karbalaa mein

umeed aakhri hai

abbas jaa rahe hai...


qaimon mein shor e matam

hone laga hai paiham

har aankh hogayi nam

shaam e ghariban daaman

phailaati jaa rahi hai

abbas jaa rahe hai...


zainab ke baazuon ko

chooma tha jab ali ne

lamhaat e zindagi mein

baazu bandhenge mere

zainab samajh gayi hai

abbas jaa rahe hai...


rehaan azmi wo

manzar na likh sakunga

bas itna keh sakunga

kehte thay shaahe waala

kam meri zindagi hai

abbas jaa rahe hai...