Kanz e Aza

Abul Fazle Bawafa

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

abul fazl e bawafa alamdar e lashkaram

maahe hashmi nasab ameere dilawaram


tu shahenshahe wafadari hai

tera gham misle hawa jaari hai

tere parcham ki chamak kya kehna

taa qayamat ye alamdari hai

abul fazl e bawafa...


bakhuda chashm e karbala tum ho

hum fakheeron kaa aasra tum ho

aap ki zaat hai shaoor e falaak

baazu e ibn e fatema tum ho

abul fazl e bawafa...


rukh e pur noor surat e gul hai

juz nahi aks e hyderi kul hai

tum uloom e ali ke taare ho

teri jurrat ka chaar soo ghul hai

abul fazl e bawafa...


tum sada e dili ki sunte ho

yun bhi haajat rawayi karte ho

dast geeri baghair baazu bhi

chauda sadiyon se karte rehte ho

abul fazl e bawafa...


ay ghulam e hussain ibne ali

bar sar e alqama bhi tashnalabi

tere hi khoon se tar tha tera alam

pyaas jeeti hai alqama haari

abul fazl e bawafa...


bain karti hai ek masooma

wo sakina gala bandha jis ka

aaj bhi tere intezaar mein hai

ab bhi zindan se aa rahi hai sada

abul fazl e bawafa...


teer ek aankh mein tha ek mein lahoo

jab kiya hai paye namaz wazoo

qalb e zainab lahoo ugalne laga

aayi pani mein jab teri khushboo

abul fazl e bawafa...


sar barehna thi jis ghadi zainab

zer e naiza thi jab khadi zainab

nok e naiza pe tera sar na ruka

khaak pe ro ke gir padi zainab

abul fazl e bawafa...


tere laashe pe jab gaye shabbir

dekha paywast aankh mein hai teer

shiddat e gham se jhuk gayi thi kamar

khoon mein ghaltan thi baap ki tasveer

abul fazl e bawafa...


zindagi bhar hamein kaha aaqa

bole ghazi se shaah e karbobala

mere nasir meri rehaan dili

bhai keh do hamein paye zehra

abul fazl e bawafa...