Kanz e Aza

Akbar Tu Kahan Hai

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

kehti hai sahar gham ki akbar tu kahan hai

sajde bhi hai afsurda betaab azaan hai

akbar tu kahan hai...


shaadi ka teri waqt hai ya waqt e shahadat

sehra hai duaon ka aur maa ki zaban hai

akbar tu kahan hai...


ladiyan tere sehre ki choome tere seene ko

afsos magar tere seene may sina hai

akbar tu kahan hai...


aur iske siwa kya hai islam ka daaman may

ek sajda hai ek zarbat aur ek azaan hai

akbar tu kahan hai...


hai pyaas ke aalam may akbar ko ajal aayi

aur saamne aankhon ke darya bhi rawan hai

akbar tu kahan hai...


rehaan ye kehti thi maadar ali akbar ki

kya darr hai layeeno ka mera laal jawan hai

akbar tu kahan hai...