Kanz e Aza

Allah Bohat Bada Hai

A noha written by Rehaan Azmi (2025). Lyrics in Roman Urdu.

sab ne yehi kaha hai allah bohat bada hai

quran mein likha hai allah bohat bada hai

har hadh se maawara hai allah bohat bada hai


ye mehr o maah o anjum daryaon mein talatum

chlati hui hawayein awaaz ka tarannum

khush rang taayeron ka phaila hua tabassum

tarteeb waar ghunche aise ke rashk e anjum

ye kun ka maujiza hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


mitti ke paikaron mein tehreek daalta hai

suye falak zameen se taare uchaalta hai

pataal se jawaade wo hi nikalta hai

parwardigar wo hai dunya ko paalta hai

har hadh se maawara hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


kaunain mein ayan hai ya rab jo noor tera

hai taab kis nazar mein dekhe zahoor tera

tasbeeh khwah hum kya hai koh e toor tera

jisko bhi mil gaya hai maula sha'oor tera

wo mustufa hua hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


tu ba-kamaal jaisa waise tere payambar

sab tere madhakhwan hai sab hi tere sanagar

kya badshaah o kudsi kya muflis o gadagar

in saari hastiyaon mein wo aamina ka dilbar

wo bhi to lab kusha hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


kausain ki thi manzil hairaan ambiya thay

jibreel ruk gaye thay ek marhale pe aake

raste banaye tu ne parde hata hata ke

meraaj par mohamed pahunche teri riza se

ek shor goonjta hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


jaise hi guftugu ki allah ne nabi se

bole nabi ye lehja marboot hai ali se

hairaan huwe mohamed is lehja e khafi se

kya guftugu hai meri allah ke wali se

ye raaz ghaib ka hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


allah ki badayi yun to sabhi ne ki hai

lekin jo karbala ki tareekh bolti hai

nok e sina se rab ki tauseef ho chuki hai

tadbeer zer e khanjar shabbir ne kahi hai

mazloom ki sada hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


kisne kiya hai sajda khanjar tale jahan mein

kaante pade huwe thay jab pyaas se zuban mein

jab aag lag rahi thi zehra ke gulsitan mein

chup chup ke chand taare rote thay aasman hai

maula ne tab kaha hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


kya nafse mutmainna sajjad ne tha paaya

ek ek sitam pe jisne sajde mein sar jhukaya

tauq e garan pehen kar shikwa na lab pe laaya

kunbe ko apne lekar taa shaam tha jo aaya

har gaam par kaha hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...


seene pe barchi khaa ke akbar ne ye sada di

ye aakhri hai manzil khushnoodi e khuda ki

khaake shifa bana di karbobala ki matti

bole rehaan o sarwar tareekh e karbala bhi

maula ne sach kaha hai allah bohat bada hai

sab ne yehi kaha hai...