ay zahra ke baba ay shaahe madina
yun beti ko teri sataya gaya hai
shikasta hai pehlu shikasta hai baazu
lahoo fatema ka bahaya gaya hai
ay zehra ke baba...
madine ki kya thi mai haalat bataun
tumhe sayyeda ki musibat bataun
kabhi aag dar par lagayi hai uske
kabhi haath us par uthaya gaya hai
ay zehra ke baba...
sada aa rahi thi ye ghar hi mita do
jo rehte hai ghar mein unhe bhi jala do
taharat ka kaaba jalane ki khaatir
jama'at ko saari bulaya gaya hai
ay zehra ke baba...
koi bhi na samjha shahe lafata ko
ye gham khaa gaya hai teri fatema ko
madine ki galyion mein qaidi bana kar
tere janasheen ko phiraya gaya hai
ay zehra ke baba...
na uth'te thay bacche na rukte thay aansu
sambhale farishton ne dono ke baazu
badi mushkilon se janaze se maa ke
hussain o hassan ko hataya gaya hai
ay zehra ke baba...
ali murtaza ki ajab thi ghareebi
teri laadli par hase jab namazi
sanad kardi tukde mazaak is tarha se
teri sayyeda ka udaya gaya hai
ay zehra ke baba...
giri khaak par arsh par rehne waali
shikasta hui uske kaano ki bali
lahoo chashme zahra mein bharne laga tha
tamacha hi aisa lagaya gaya hai
ay zehra ke baba...
ali ko jo masjid bulaya gaya tha
teri laadli ko jalaal aagaya tha
ali ne diya waasta apne haq ka
madine ko aise bachaya gaya hai
ay zehra ke baba...
ali ne banayi thi chalees qabrein
pata poochti hai takallum ki aahein
zameen e madina mein jaane kahan par
khazana tumhara chupaya gaya hai
ay zehra ke baba...