Kanz e Aza

Ba Khuda Hussain Hai

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mir Takallum (2026). Lyrics in Roman Urdu.

ya hussain ya hussain

ya hussain hussain hussain


sayyed o sardar e man

murshad o sultan e man

ya hussain ya hussain

akbar o salaar e man

mimbar e emaan e man


wal asr ki qasam walfajr ki qasam

wan noor ki qasam yaseen ki qasam

allah ke bataye huwe deen ki qasam

keh raha hai khud ye kibriya

ba khuda ba khuda ba khuda

deher mein binaye la ilaah

ba khuda hussain hai


saansein nisar baadshahe mashraqain par

qurban dil ka chain bhi zahra ke chain par

apne lahoo se likhte hai akbar ke pursadar

sadqe ye do jahan hai imame hussain par

haq ki zaban raaz e azaan shaahe shaheedan

kashti e nabi ka nakhuda

ba khuda ba khuda ba khuda ba khuda hussain hai

deher mein binaye la ilaah...


uski bulandiyon ka ihata koi nahi

wo behr hai ke jiska kinara koi nahi

tareekh e kayenat mein aisa koi nahi

khilkat mein uski shaan ka band akoi nahi

noore haram shaahe umam deen ka bharam hai

do jahan mein naaze kibriya

ba khuda ba khuda ba khuda ba khuda hussain hai

deher mein binaye la ilaah...


as salaam as salaam as salaam

ya hussain as salaam


maula hussain sayyed o salaar as salaam

au kushtagane ishq ke sardar as salaam

ay mehmana e assaib e noor as salaam

haye hussain tashna o ranjoor as salaam

ay aakhri nabi ke nawase tere nisaar

ay saahile furaat ke pyase tere nisaar

as salaam as salaam as salaam

sallal lahu wa alika ya abaab dillah

laayek e salaame kibriya

ba khuda ba khuda ba khuda ba khuda hussain hai

deher mein binaye la ilaah...


halqon mein chal rahi hai hawa ya hussain ki

daulat hamay hui hai ataa ya hussain ki

lagta hai aane waala hai ab aakhri hussain

kaabe se aa rahi hai sada ya hussain ki

baabe saqa rabbe ataa dar hai dua ka

matami ka sirf aasra

ba khuda ba khuda ba khuda ba khuda hussain hai

deher mein binaye la ilaah...


saje ko apne qibla e kaaba bana diya

khaali zameen ko arshe moalla bana diya

meraaj ke nazare dikhaye zameen par

qaime ko kohe toor ke jaisa bana diya

abre karam naaze ajamshaahe arab hai

aaj tak ameer e karbala

ba khuda ba khuda ba khuda ba khuda hussain hai

deher mein binaye la ilaah...


poora nabi ka khwab kiya hai hussain ne

maqtal ka inteqab kiya hai hussain ne

chadar chini hai zainab o kulsoom ki magar

dushamn ko be-naqaab kiya hai hussain ne

subhe azal shaame abad noore ahad hai

inqelaab e waqt ki sada

ba khuda ba khuda ba khuda ba khuda hussain hai

deher mein binaye la ilaah...


ashoor aur dasht ka manzar lahoo lahoo

asghar ka halq seena e akbar lahoo lahoo

zakhmon se choor ho ke mohamed ka laadla

aaya hai pushte zeen se zameen par lahoo lahoo

shor utha pyasa gala katne gala hai

bekas o ghareeb o bekhata

ba khuda ba khuda ba khuda ba khuda hussain hai

deher mein binaye la ilaah...


matam ki saf jahan bhi banate hai matami

daste khuda ka haath batate hai matami

tazeem mein utha hai takallum har ek bashar

ek shor hai ke hashr mein aate hai matami

aankhon mein nam seeno mein gham lab pe sada hai

kaarwan e haq ka peshwa

ba khuda ba khuda ba khuda ba khuda hussain hai

deher mein binaye la ilaah...


haye shahe karbala

ya hussain ya hussain

fatema ka laadla

ya hussain ya hussain

ghar ka ghar tera luta

ya hussain ya hussain

koi na tera raha

ya hussain ya hussain

asghar e bekhata

hussain hussain hussain husssain

akbar e naujawan

hussain hussain hussain husssain

haye wo bawafa

hussain hussain hussain husssain

haye sheh ka gala

hussain hussain hussain husssain