baghor sun le zamana hussain aise thay
baqa fana ko banaya hussain aise thay
churi ke neeche wo khaliq se pyar ki baatein
ajal ko ho gaya sakta hussain aise thay
mukhalifat pe zamana tha us taraf lekin
wohi kiya jo kaha tha hussain aise thay
sipahe shaam shujaat ka loha maan gayi
dabe na laakhon se tanha hussain aise thay
kamar ko baandh ke peeri may jalti reti se
uthaya bete ka laasha hussain aise thay
jawan ki laash uthayi banayi qabre sagheer
kahin bhi azm na badla hussain aise thay
hazar shukr ke sajday shaheed karta hay
banaya qatre ko darya hussain aise thay