Kanz e Aza

Mehman e Lucknow

A noha written by Shaheed Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

ay hussain e karbala ay mehmaan e lucknow

tere qadmon ki badaulat ab hai shaan e lucknow


dard se maula bhar aaya hai tere shayar ka dil

de ijazat to zuban ho tarjuman e lucknow

ay hussain e karbala...


thays lag jayegi tere qalb e zakhmi ko shahab

warna kar deta wazahat se bayan e lucknow

ay hussain e karbala...


tere gham ke mah siwa ye gham bhi hai is qaum ko

kya thay aur kya reh gaye hai haadiyan e lucknow

ay hussain e karbala...


kal ki wo shaahi azakhaano mein teri majlisein

jin mein ab tak kuch nazar aati hai shaan e lucknow

ay hussain e karbala...


ay ali ke laadle daaman na chodenge tera

jis tarha se chaahe kar le imtehan e lucknow

ay hussain e karbala...


bas chale gar chaahne waalon ka tere ay hussain

tere rauze ko utha laaye miyaan e lucknow

ay hussain e karbala...


do mahine aat din tak tere maatam mein hussain

arsh se jaa jaa ke takrayi fughan e lucknow

ay hussain e karbala...


khuld mein shaam o sehar ki majlison ke waaste

fatema ne chun liye do khushbayan e lucknow

ay hussain e karbala...


ek dabeer e do-jahan hai ek anees e kayenaat

ek rooh e lucknow hai ek jaan e lucknow

ay hussain e karbala...


aaj hai matam ka tere aakhri din ay shahab

jaa rahi hai ye baharein gulsitan e lucknow

ay hussain e karbala...


kis tarha ruqsat kare ay zeenat e dosh e rasool

tujhse sharminda hai maula saakinaan e lucknow

ay hussain e karbala...


tere akbar ke tassaduq tere asghar ke nisaar

har jawan e lucknow har bezuban e lucknow

ay hussain e karbala...


ye to kahiye aap ke bhai ki yan dargaah hai

warna kab tak mit gaya hota nishan e lucknow

ay hussain e karbala...


dekh to mud kar zara ye apni ruqsat ka sama

kis tarha ujda pada hai har makaan e lucknow

ay hussain e karbala...


alwida ay fatema zehra ke dilbar alwida

har taraf goonji hui hai ye fughan e lucknow

ay hussain e karbala...


jaate jaate mere maula ye bataate jaaiye

saal bhar tak kya karenge saakinaan e lucknow

ay hussain e karbala...


hum gareebon ki taraf se chand aansu kar qubool

aur de sakte hai kya hum muflisaan e lucknow

ay hussain e karbala...


daagh e matam aur ye aansu pesh kar dena shaheed

aakhri shabbir jab aaye miyaan e lucknow

ay hussain e karbala...