farzand e payambar pe wo ashoor ki raat
moo chupane lagi ghabrane lagi nehre furaat
sogaye baat ke shabbir jo maqtal mein hayaat
fatema aagayi sehra mein gham o ranj ke saath
kya sada aati thi us waqt mai bataata hoo
sada shaeedon ki kya thi wohi sunaata hoo
amma mai pyasa hoo amma mai pyasa hoo
binte rasool pehle gayi jaanibe furaat
kya dekhti hai khaak pe do hai bureeda haath
saahil pe jism jism pe teeron ki kayenaat
dekha jo maa ko aagayi ghazi ke lab pe baat
amma mai pyasa hoo...
maqtal mein ek jawan jo seena figaar tha
zahra pukari ye to hai tasveer e mustafa
royi tadap ke boli mere laal kya hua
ek aah bhar ke laasha e akbar ne di sada
amma mai pyasa hoo...
do chote chote laashe bhi be-sar thay khaak par
zahra pukari ye mere zainab ke hai pisar
laashon ke paas baith gayi dil ko thaam kar
kehte thay laashe aun o mohamed ke khoon mein tar
amma mai pyasa hoo...
hurr john ausaja habeeb e wafa shinaas
in ke khareeb jab gayi zahra falak viqaar
taazeem ke liye uthi har laash baar baar
bola har ek sayyed e waala ka jaanisaar
amma mai pyasa hoo...
ek laash qatlgaah mein itni sagheer thi
aamad pe jiski tha bada qatil ko teeragi
boo aa rahi thi aankhon se khoon aur sheer ki
zahra ka dil ulat gaya awaaz jab suni
amma mai pyasa hoo...
kaampi zameen e karbobala zalzala utha
jaise hi ek nasheb mein maa ka guzar hua
dekha tha tan hussain ka teeron pe hai rakha
zahra ne haal poocha to laashe ne di sada
amma mai pyasa hoo...
zahra ne baal khole rida daali laash par
boli tadap ke ay mere mazloom tera sar
kis ne shigaaf kar diya zakhmi kiya jigar
lab tar karungi ashkon se tere kahe agar
amma mai pyasa hoo...
bole hussain kya piyun pani ay amma jaan
pyasa shaheed hogaya masoom bezuban
sunta hoo qatlgaah mein pyason ki hichkiyan
amma is alqama ne liya mera imtehan
amma mai pyasa hoo...
rehaan dard naak hai kitna ye waqiya
aale nabi ko dasht mein pani nahi mila
girya kuna hai khuld mein zahra o murtuza
aati hai karbala se mohsin yehi sada
amma mai pyasa hoo...