Kanz e Aza

Amma Mujhe Chupa Lo

A noha for Darbaar e Shaam, written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

bazaar mein ye zainab fizza se keh rahi hai

amma mujhe chupa lo


bazaar mein ye zainab fizza se keh rahi

abbas ki bahen ko har aankh dhoondti hai

amma mujhe chupa lo


dekha na murtaza ne jisko baghair chadar

na-mehramo mein haye wo aagayi khule sar

qatle hussain se bhi dushwaar ye ghadi hai

amma mujhe chupa lo

bazaar mein ye…


himmat nahi hai meri kaise khadam badhaun

is shehre be-amaan mein khud ko kahan chupaun

haathon mein leke pathar ummat khadi hui hai

amma mujhe chupa lo

bazaar mein ye…


bemaare karbala ke aankhon se khoon hai jari

ye soch kar badan mein larza hai uske taari

beparda shamiyon mein beti batool ki hai

amma mujhe chupa lo

bazaar mein ye…


pooche to koi inse cheena hai kya tumhara

pardesi bewatan hai kya jurm hai hamara

kaisa hai ye tamasha ye bheed kyun lagi hai

amma mujhe chupa lo

bazaar mein ye…


is naam se hamesha aayi hai mujhko ghairat

paala hai tumne mujhko tum jaanti ho aadat

bazaar zindagi mein zainab kahan gayi hai

amma mujhe chupa lo

bazaar mein ye…


saahil pe laashe ghazi us dam tadap gayi thi

sar se chini thi chadar jab binte murtaza ki

wo raat thi andheri ye din ki roshni hai

amma mujhe chupa lo

bazaar mein ye…


aaya khayaal jab bhi aansu lagi bahane

bazaar ka takallum kaisa asar tha jaane

aksar watan mein zainab ye kehke chaunk uthi hai

amma mujhe chupa lo

bazaar mein ye…