ye aseeri ki hawa kaise chali hai abbas
aaj zainab sar e darbar khadi hai abbas
jin ke waali bhi nahi godh mein bacche bhi nahi
ye behan saath unhe le ke chali hai abbas
ye aseeri ki hawa...
ab bhala aur ghareebul watani kya hogi
sar pa chadar nahi aur dhoop kadi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
bujh gaye shaam e ghariban ke wo sholay lekin
dil e zainab mein abhi aag lagi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
ek bemaar bhatija hai faqath saath mere
us ke pairon mein bhi zanjeer padi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
log sadqe ke khajoorein meri jaanib phaynke
kya yehi martaba e aal e nabi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
lab e sarwar pa chadi maar raha hai zaalim
aur hasrat se behan dekh rahi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
baith kar padti hoo raaton ko namazein bhaiya
ab to meri bhi kamar toot gayi hai abbas
ye aseeri ki hawa...
ye aseeri hai faqath maqsad e sheh ki khaatir
warna zainab tere saanche mein dhali hai abbas
ye aseeri ki hawa...
shaksiyat zainab e muztar ki bayan kya ho bilal
kabhi zehra kabhi sarwar to kabhi hai abbas
ye aseeri ki hawa...