Kanz e Aza

Ay Mere Baba Jaan

A noha for Darbaar e Shaam, written by Yawar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

us waqt jab ke zainab darbar may gayi thi

khaari namaziyon se mehfil saji hui thi

zaalim ye poochta tha ghazi tera kahan hai

balon se moo chupaye zainab ye keh rahi thi


ay mere baba jaan ho rahi hai azan sar chupa'un kahan

majmaye aam may bewatan be-ama aa gaya karwan

ay mere baba jaan…


mai bhi hoo marzia binte khairun-nisa

mere lehje may hai baba teri aada

naam zainab mera tune jo rakh diya dedi apni zuban

ay mere baba jaan…


baba jaan mai rida maangti reh gayi

baam o dar sajgaye jeete ji mar gayi

halqae shaam may naam sunkar mera margaya natawan

ay mere baba jaan…


haath kaano pe hai neel gaalo pe hai

aur nishan jo sakina ke shaano pe hai

har nishan se yahi aa rahi hai sada baba jaan baba jaan

ay mere baba jaan…


sham e ashoor se shaam o kufa talak

maine maanga nahi hai khiraaje fadak

meri chadar se hai meri maa ka sukoon sunle zalim jahan

ay mere baba jaan…


baba jaan ye tera aakhri tha bayaan

teri chadar bachayega ghazi jawan

margaya bawafa chingayi hai rida kehti hai bibiyan

abbas abbas abbas


ruk na paaya mere bawafa ka wo sar

noke naiza se aane laga khaak par

behan ko darbadar dekh kar nange sar seh na paya jawan

ay mere baba jaan…


kal thi maa aaj mai bhi hoon darbar may

misle zahra khadi hoon mai aghiyar may

us taraf hai shaqi is taraf rehgaye bepadar betiyan

ay mere baba jaan…


aisa khutba diya maine darbar may

likh raha hai jo yawar tere pyar may

lehjaye hyderi har azan ke liye hai sada e azan

ay mere baba jaan…