kisi bemaar ke honton pe raha ek hi naam
haye as-shaam haye as-shaam haye as-shaam
jabaja koocha o bazaar mein logon ka hujoom
jaise mele ka samaa jaise kisi eid ki dhoom
aur zanjeer mein jakda hua mazlom imam
haaye ash-shaam…
noke naize pa wo quran sunate hue sar
apne chehron ko wo balon se chupate hue sar
aur is haal mein phir umme habiba se kalaam
haaye ash-shaam…
saat sau kursi nasheeno se bhara wo darbar
haram e shaah ke hamraah wo bebas lachaar
usi laaghar ke garajte hue lehje ko salaam
haaye ash-shaam…
tasht mein farqe shahe deen pa wo hakim ki chadi
dil e bemaar pa wo lamha qayamat ki ghadi
zabt ki aakhri had paar hai imamat ka qayaam
haaye ash-shaam…
sab aseeron ke liye ek andhera zindan
us andhere mein tadap kar kisi bachi ka fughan
kis ko neend aayegi aise mein kahan ka aaraam
haaye ash-shaam…
raat ke pichle peher baap ko jo roti thi
margayi shaam ke zindan mein phir wo bachi
ek bhai pe guzarte rahe kya kya aalaam
haaye ash-shaam…
baad e ashoor jo rota raha chalees baras
zehr e maloon se mara gaya aakhir bekas
aakhri waqt bhi shahid yehi kehta tha imam
haaye ash-shaam…