ay aasman ay aasman
tune bhi dekha wo samaan
jab karbala ke dasht mein
thay imtehan par imtehan
ay aasman…
hilta tha arshe kibriya
saktay mein thay kul ambiya
jab naujawan ke qalb se
kheynchi zaeefi ne sina
ay aasman…
wo waqt nauha bangaya
sadiyon ka lamha ban gaya
jab bewagi ki zarb say
tooti dulhan ki chudiyan
ay aasman…
bachi sisakti reh gayi
chehro ko takti reh gayi
jab nehr par maara gaya
ahle haram ka paasban
ay aasman…
sunte hai sab tharra gaye
moo ko kaleje aa gaye
jab khoon say tar hogayi
baysheer ki sookhi zaban
ay aasman…
ya bekasi maqtal mein thi
y alaash thi mazloom ki
jab paemaali ke liye
hone lagi tayyariyan
ay aasman…
taskeen e shar hoti rahi
insaniyat roti rahi
jab gardane bemaar mein
dekha gaya tauq e garan
ay aasman…
shahid sare karbobala
juz bebasi koi na tha
jab khoon se likhi gayi
tashna labon ki daastan
ay aasman…