ay alamdar e wafa ghazi
chin gayi meri rida ghazi
mera barbaad hua ghar
jab hua shaam e ghariban ka andhera ban mein
goonj utha khaak nasheeno ka ye nauha ban mein
aagayi binte ali dene ko pehra ban mein
thi yehi lab pe buka ghazi
dekhle aake zara ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...
mera ghar loot liya shaam ke khazzaqo ne
chaadare cheen ke aada ne jalaye qaime
maine amma ki suni thi ye sada rote huwe
chod ke tu jo gaya ghazi
bad gayi aur jafa ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...
har taraf aag dhuan shor e buka wawaila
ye sitam kaisa ghareebon pe hua wawaila
hogayi khaak basar aale aba wawaila
tu nahi kuch na raha ghazi
khaak hai sar ki rida ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...
be-sukoon mai hoo alamdar tere jaane se
zindagi ban gayi aazaar tere jaane se
pyase bache hai azadaar tere jaane se
teri furqat hai saza ghazi
kya kahoo aur bhala ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...
hogaya tanha mera bhai tere jaane se
bad gayi aur bhi tanhaai tere jaane se
mere bhai pe qaza aayi tere jaane se
jab chali taygh e jafa ghazi
thi mere lab pey buka ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...
ro padi aaya e tatheer sar e karbobala
jab chini chadar e hamsheer sar e karbobala
lut gayi zehra ki jaageer sar e karbobala
mere ashkon ne kaha ghazi
alqama chod ke aa ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...
be-qata bali sakina pe ghashi hai taari
aankh mein ashk hai aankhon se lahoo hai jaari
tujhse faryaad ye karti hai ghamon ki maari
ay wafadaar chacha ghazi
mere maqtool e jafa ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...
dekh ay mere wafadaar sitam ka manzar
ek naize pe rida ek pe shabbir ka sar
haye pardes mein kya waqt pada hai mujh par
kya mere paas raha ghazi
hasrat o yaas ke siwa ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...
bai ye safdar o mazhar thay nabi zaadi ke
le gaye loot ke khazzaq ridayein sar se
dekh hum khaak nasheeno ki musibat aa ke
ghar jala dil bhi jala ghazi
mera kunba na raha ghazi
mera barbaad hua ghar
ay alamdar e wafa ghazi...