Kanz e Aza

Ay Alamdar Utho

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Gohar. Lyrics in Roman Urdu.

ay alamdar utho lut ke jaati hai behan

haye abbas utho bhai abbas utho


kal talak qaime thay aabad badi raunak thi

tum bhi thay qasim o asghar bhi ali akbar bhi

ab koi paas nahi zeest ki aas nahi

ay alamdar utho...


aayi jab gyara moharram to qayamat aayi

lut gaya dasht mein ghar qaid hui aale nabi

aayi zainab ki sada chin gayi meri rida

ay alamdar utho...


dekh kar apne bandhe haathon ko ye bain kiye

reh gayi tanha thay athara biradar jis ke

wo hui jor o jafa koi mera na raha

ay alamdar utho...


is khadar bali sakina ne tamache khaaye

khaak par gr ke tadapti rahi bacchi haye

koi sunta hi na tha meri faryad o buka

ay alamdar utho...


qatl shabbir huwe tum bhi sidhare bhaiya

phir ghareebon ka koi poochne waala na raha

zulm par zulm sahe dasht se rote huwe

ay alamdar utho...


berida jaungi mai shaam ke bazaron mein

pesh hona hai mujhe zulm ke darbaron mein

tu mere saath na jaa meri himmat to badha

ay alamdar utho...


dasht mein laashe tadapne lage haye gohar

shaahzadi jo chali roti hui ye keh kar

alwida bhai mere alwida bhai mere

ay alamdar utho...