khazane ki jo zeenat ho usay almaas kehte hai
tamanna pani ki hoti hai jab to pyaas kehte hai
jahan peete hai sab pani usay kehte hai sab darya
jo darya ko pilaata ho usay abbas kehte hai
alamdar e wafa
us zikr ka hai zaamin zargham karbala ka
ta hashr zikr hoga is dehr mein wafa ka
maujon ne tashnalab ko uth uth ke di salaami
darya pe aise aaya farzand murtaza ka
alamdar e wafa
ta hashr zikr hoga...
jis ka alam hai ooncha baazu nahi hai jin ke
ye hai dua e zainab ejaaz hai wafa ka
alamdar e wafa
ta hashr zikr hoga...
is tarha ki jari ne jazbon ki paasdaari
abbas naam rakha shabbir ne wafa ka
alamdar e wafa
ta hashr zikr hoga...
darya ki simt dekha aur ro ke boli zainab
ab kaun hai muhafiz bhaiya meri rida ka
alamdar e wafa
ta hashr zikr hoga...
tha aandhiyon ki zad pe islam ka safina
abbas ke alam ne moda hai rukh hawa ka
alamdar e wafa
ta hashr zikr hoga...
sher e jari ka parcham khul kar ye keh raha hai
badta rahega yunhi ye kaarwan wafa ka
alamdar e wafa
ta hashr zikr hoga...
ro ro ke pyase bache faryad kar rahe hai
matam bapa hai ran mein saqqa e karbala ka
alamdar e wafa
ta hashr zikr hoga...
abbas ke alam ko jo choo ke aaye gohar
hai zindagi ka zaamin jhonka wohi hawa ka
alamdar e wafa
ta hashr zikr hoga...