ghazi ka alam aaya to sheh bole ye ro kar
abbas kahan ho abbas kahan ho
ro ro ke na mar jaye kahin zainab e muztar
abbas kahan ho abbas kahan ho
jab mashk o alam laaye thay ran se shahe waala
ek hashr bapa tha
nauha tha yehi zainab e dilgeer ke lab par
abbas kahan ho...
le jaaun mai kis tarha jawan bete ka laasha
maidan se tanha
haathon se kamar thaame huwe kehte hai sarwar
abbas kahan ho...
sab fauje khuda qatl hui raahe khuda mein
is dasht e bala mein
marne ke liye jaata hai nanha ali asghar
abbas kahan ho...
maqtal ki taraf jab ke chali sheh ki sawari
zainab ye pukari
ay mere jari bhai mere sher e dilawar
abbas kahan ho...
jo kooze liye baithe hai raste mein tumhare
seh roz ke pyase
in bacchon ka kya haal hai dekho zara aa kar
abbas kahan ho...
mar jayegi is dasht mein ro ro ke sakina
dushwaar hai jeena
do aake dilaasa usay seene se laga kar
abbas kahan ho...
ab dashte bala qaiz mein kohraam bapa hai
har lab pe buka hai
kuffaar ke narghe mein hai aulaad e payambar
abbas kahan ho...
ro ro ke bulaati hai nabi zadiyan tum ko
kyun sunte nahi ho
qaimon ko jalaata hai sitamgaaron ka lashkar
abbas kahan ho...
haathon se rida thaam ke zainab ye pukari
ho jaaun mai waari
chin jaaye na sar se mere bhaiya meri chadar
abbas kahan ho...
sunte hi tadap jaata tha abbas ka laasha
gohar labe darya
jab kehti thi saydaniya hasrat se tadap kar
abbas kahan ho...