Kanz e Aza

Abbas Kahan Ho

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ali Rizvi Sachey. Lyrics in Roman Urdu.

kehte thay shahe deen mere abbas kahan ho

abbas kahan ho abbas kahan ho


tanha hoon khada dashte bala mein baradar

dekho zara aa kar dekho zara aa kar


paala tha jinhe naazon se sote hai kahan wo

abbas kahan ho...


dikhta nahi ab aankhon se har soo hai andhera

dam rukta hai mera dam rukta hai mera

deta hai sadayein ali akbar mera mujhko

abbas kahan ho...


seene mein jawan laal ke barchi ki ani hai

tharraati zameen hai tharraati zameen hai

uljha hua barchi mein na akbar ka jigar ho

abbas kahan ho...


haathon pe ugalta hai lahoo asghare baysheer

gardan pe laga teer gardan pe laga teer

kya keh ke tasalli doon mai dar pe khadi maa ko

abbas kahan ho...


nanhi si lehad mein ali asghar ko lita kar

mitti pe sula kar mitti pe sula kar

uth'ta hoon kabhi girta hoon thaame huwe dil ko

abbas kahan ho...


cheenenge sakina ke gohar ab ye sitamgar

qasim hai na akbar qasim hai na akbar

laashe pe mere aake pukaregi wo tum ko

abbas kahan ho...


chalti rahi gardan pe churi dekh rahi thi

zainab ne sada di zainab ne sada di

sookha hai gala bhai ka pani to pila do

abbas kahan ho...


chalti thi siyaah aandhiyan khoon bikhra tha har soo

jab khol ke gaysu jab khol ke gaysu

ek laashe bureeda pe ye maa kehti thi ro ro

abbas kahan ho...