ay mere baradar mere abbas
abbas ke laashe par ye bain thay sarwar ke
lag jao bhaiya tum apne baradar ke
kya tum ko gawara hai zainab ki chine chadar
zanjeer hai pairon may bemaaar ke muztar ke
abbas ke laashe par...
pamaal huwe qasim akbar ne sina khaayi
tum ne bhi hamay choda aasaar hai mehshar ke
abbas ke laashe par...
shabbir ne bachi ko pehnaye thay jo bunde
cheene gaye maqtal may wo daste sitamgar ke
abbas ke laashe par...
zainab ne kaha bhaiya kis par hamay choda hai
hai kaun bachaye jo ab zaalimon ke shar se
abbas ke laashe par...
jis ghar may farishte bhi aate hai salaami ko
matam ki sadayein ab aati hai usi ghar se
abbas ke laashe par...
ay zaalimon zainab ko durre to nahi maaro
kya bhai ka badla bhi yun lete hai khwahar se
abbas ke laashe par...
tha khushk gala itna farzand e payambar ka
rone ki sada paiham aati rahi khanjar se
abbas ke laashe par...
jo majlis e sarwar may karta hai bapa matam
leta hai duayein wo shabbir ki dukhtar se
abbas ke laashe par...