Kanz e Aza

Abbas ke Baazu

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Aqeel Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

qaime may jo sheh laate hai abbas ke baazu

kulsoom ko tadpate hai abbas ke baazu


shabbir bhi maare gaye mai kar na sak kuch

is baat pa khoon rote hai abbas ke baazu

qaime may jo sheh laate...


chin jaati hai phir zainab o kulsoom ki chadar

maqtal may jo kat jaate hai abbas ke baazu

qaime may jo sheh laate...


hal min ki sada sunte hi shabbir ki ran se

darya pa tadap uth'te hai abbas ke baazu

qaime may jo sheh laate...


zaalim ne sakina se kaha maar ke durre

kaise tujhe chudwate hai abbas ke baazu

qaime may jo sheh laate...


zainab ki rida lut'ti hai bazaar may jab bhi

sajjad ko yaad aate hai abbas ke baazu

qaime may jo sheh laate...


laasha ali akbar ka utha to nahi sakte

aapas may hi takrate hai abbas ke baazu

qaime may jo sheh laate...


likhta hai aqeel aal e nabi ke jo masayib

to behre ata uth'te hai abbas ke baazu

qaime may jo sheh laate...