asghar ki saari umr safar mein guzar gayi
tareekiyon mein haq ki ziya jis se bhar gayi
zaalim ke har iraade ko barbaad kar diya
islam ke wujood ko azaad kar diya
itni si jaan utna bada kaam kar gayi
asghar ki saari umr...
yasrab se karwan chala nilki sawariyan
gehwara pushte naaqa bana ghar maraiyan
raahe safar mein din gaya shaam o sehar gayi
asghar ki saari umr...
aaghosh mein ajal ki wo aaya hayaat se
has has ke khelta raha baysheer maut se
aakhir jaza tabassum e asghar pe mar gayi
asghar ki saari umr...
sookhi zaban pheri labon par sagheer ne
pyase galay to tar kiya zaalim ke teer ne
nanhi si jaan maut ko hairaan kar gayi
asghar ki saari umr...
khaa kar galay pe teer bhi jaari raha safar
baba ke saath saath ye maujood tha udhar
ho kar aseer baali sakina jidhar gayi
asghar ki saari umr...
manzar ye dekh dekh ke rota raha falak
karbobala se kufa to kufe se shaam tak
bhai ke saath saath behan nange sar gayi
asghar ki saari umr...
maa se bichad ke chain na aaya sagheer ko
har gaam karta jaata tha maa ko talaash wo
naize pe dhoondta tha ke amma kidhar gayi
asghar ki saari umr...
naize pe sar sagheer ka dekha rabab ne
mamta balayein lene lagi izteraab mein
chehre pe apne laal ke jab jab nazar gayi
asghar ki saari umr...
asghar ke baad karti thi faryaad ek maa
saansein to chal rahi hai magar zindagi kahan
beta tumhare saath ye maadar bhi mar gayi
asghar ki saari umr...