maa karti thi ye naale karbala ke biyaban mein
asghar mere asghar jaani asghar mere asghar jaani
zaalim ne kiya wo zulm haathon pe shahe deen ke
dam tod diya asghar karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...
ek hook uthi dil mein dekha jo suye maqtal
rote hai khade sarwar karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...
baysheer ki mayyat ko daaman mein chipa laaye
maa dekhti hai manzar karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...
is nanhi si mayyat par thay bain sakina ke
dunya se gaya asghar karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...
tu maa ka dulaara hai kunbe ka tu pyara hai
rote hai sabhi tujh par karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...
din raat nigahon mein phirti hai teri surat
mar jaungi mai muztar karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...
baysheer teri furqat kis tarha gawara ho
kya dil hai mera pathar karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...
be ghusl o kafan asghar turbat jo bani teri
aankhon mein hai wo manzar karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...
tanhaai pe haste thay shabbir ke jo zaalim
sab mit chuke hai saabir karbal ke biyaban mein
maa karti thi ye naale...