hal min nasir in yan suruna
asghar tera tabassum wo kaam kar gaya hai
baatil ko ta qayamat na-kaam kar gaya hai
hal min ka isteghasa dena hussain ka
zainab ke dil mein paida kohraam kar gaya hai
asghar tera tabassum...
goya ke ab zamane mein ghazi nahi maujood
lekin wafa ka dunya mein wo naam kar gaya hai
asghar tera tabassum...
hurmal ke teer ko seh ke bhi asghar ke lab muskaye
shabbir ka laal tha asghar bhi kyun maut se wo ghabraye
aaghosh rubab ki khaali hai koi asghar ko ab laaye
khud so gaya khaake karbal pe par maa ko neend na aaye
goya wo so gaya hai karbal ki khaak mein
maa ko wo mubtila e aalaam kar gaya hai
asghar tera tabassum...
abid lahoo ke aansu roya hai go hussain
dunya mein aam tera paigham kar gaya hai
asghar tera tabassum...
ashoor ke roz to karbal mein wo khoon ki chal gayi aandhi
sailaab mein maut ke jisne thi nanhi si jaan baha di
tadfeen hui masoom ki ban mein hairaan hui dunya thi
asghar to khaak pe yun soya jaise wo godh ho maa ki
baysheer ki tadfeen se lagta hai yun ameer
jaise wo maa ki godh mein aaram kar gaya hai
asghar tera tabassum...