ay baade saba jaa jaa baade saba jaa
bano ne kaha jaa ke mera haal suna de
dam bhar mere soye huwe asghar ko jaga de
jo mujhpe guzarti hai zara jaa ke bata de
ay baade saba jaa...
har gaam mayassar ho tujhe sehne gulistan
ta hashr salamat rahe mehke tera daaman
bacche ki mere qabr pe do phool chada de
ay baade saba jaa...
hamdard na hamdam na koi monis o yawar
sannate biyaban mein gum jaaye na asghar
har simt andhera hai tu hi shamma jala de
ay baade saba jaa...
ye dhyaan rahe dasht mein dheere se utarna
har simt se aahista dabe paon guzarna
aisa na ho aada mein koi shor macha de
ay baade saba jaa...
ghabrana nahi kushta e shamsheer jo pooche
tu kaun hai kyun aayi hai shabbir jo pooche
maine tujhe bheja hai ye chupke se bata de
ay baade saba jaa...
rona bhi agar aaye to moo pher ke rona
bacche ka gala dekh ke tu hosh na khona
aisa na ho kapda koi gardan se hata de
ay baade saba jaa...
jaaga jo agar chand sitaron se kahega
wo tujhse ye aankhon ke isharon se kahega
gar yaad ho achi si koi lori suna de
ay baade saba jaa...
karta hai lahoo dil pe mere uska bichadna
dekhe na koi maa kisi jhoole ka ujadna
wo aaye agar godh mein tu haath badha de
ay baade saba jaa...
aaghosh mein rakhe jo machalne ka iraada
ho uska agar ghutniyon chalne ka iraada
tu zer e qadam khaak pe palkon ko bicha de
ay baade saba jaa...
har sher masayab ki nagino se jada hai
kazim ne likha hai usay aamir ne padha hai
ye nauha mera fatema zehra ko suna de
ay baade saba jaa...