Kanz e Aza

Ay Mere Beta Mere

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Yasir Raza. Lyrics in Roman Urdu.

ay mere beta mere pyare ali asghar

noore nazar maa ke dulare ali asghar


gham teri furqat ka mujhe kha gaya beta

tere bina maa ka teri jee nahi lagta

aao ye maa tumko pukare ali asghar

ay mere beta...


roti hui bano e muztar ye pukari

chain hua khatm gayi raunaqein saari

jab se tum is ghar se sidhaare ali asghar

ay mere beta...


tu hi bata kiske mai ab naaz uthaun

jhoola jhulaun kise lori sunaun

ab mai jiyun kiske sahare ali asghar

ay mere beta...


dil mein tha armaan ke tu dulha banega

laal mere sar pe tere sehra sajega

reh jaye armaan wo saare ali asghar

ay mere beta...


roti rahi na suni faryad kisi ne

teri behan pyari sakina ko shaqi ne

haye tamache bhi hai maare ali asghar

ay mere beta...


aake zara dekh ay ghazi ke bhatije

le gaye chadar bhi sitamgar mere sar se

jal gaye qaime bhi hamare ali asghar

ay mere beta...


fakhr hai mujhko mai hoo shabbir ka zakir

ab koi dunya ka mujhe darr nahi yasir

aap hai jab mere sahare ali asghar

ay mere beta...