jee bhar ke dekhle to zara
ay maut teher ja ke mera laal hai jawan
jee bhar ke dekhle to zara usko uski maa
ay maut teher ja...
usko jawan palkon ke saaye mein hai kiya
kaanta bhi uske paaon my chubne nahi diya
dekhegi kaise seene mein barchi ko uski maa
ay maut teher ja...
armaan hai uske haaton mein mehendi lagaun mai
taaron se uski shaadi ka sehra banaun mai
kaise bhula sakegi bhala usko uski maa
ay maut teher ja...
dekha hai na suna hai kabhi aisa waqiya
baysheer ke galay pe chala teere hurmala
dekhegi ye kin aankhon se manzar ko uski maa
ay maut teher ja...
beta to ek zameen par chal paaya na mera
jhoole se jo gaya tha wo ghar aaya na mera
jhoole mein abhi dhoondti hai usko uski maa
ay maut teher ja...
jaungi kaise chod ke maqtal ko mai bhala
sotay hai yahan bete aur sartaj bhi mera
kehti hai ek bete se ye usko uski maa
ay maut teher ja...
bemaar ko bhi chain kahan baade karbala
zakhmo pe zakhm usko bhi ek saat hai mila
lo jaa rahi hai chod ke ab usko uski maa
ay maut teher ja...
pahunchu dare haider pe hai armaan naeem ka
nauha padhun mai rauze pe hamshakle nabi ka
deti hai dua aaj ye bas usko uski maa
ay maut teher ja...