aaja asghar aaja aaja asghar aaja
ashoor ka jab suraj dooba
bano ko asghar yaad aaya
jab ban mein andhera chaane laga
bano ko asghar yaad aaya
sholon ki zad par qaime thay
armaan bhi maa ke jalne lage
jis waqt jala nanha jhoola
bano ko asghar...
cheh maah ka uska sin lekin
abbas tha maa ki nazron mein
zainab ki chini jab sar se rida
bano ko asghar...
dil thaam ke khaak pe baith gayi
ashkon ki rawani aur badi
pani ka jab bhi zikr hua
bano ko asghar...
dauraan e safar is bibi ki
lori ki sada nohay mein dhali
dekha jo koi bacha hasta
bano ko asghar...
ashoor ke baad azadari
bas karti rahi wo bete ki
har gaam pe har din har lamha
bano ko asghar...
beemar ne apne bhai ki
poshak bana ke rakhi thi
royi jo madine mein sughra
bano ko asghar...
pehlu ko takti rehti thi
raaton ko uth kar roti thi
zindan gayi jab aal e aba
bano ko asghar...
ansar ye qayamat kaisi thi
veerran hui godhi iski
dunya mein bicha jab farsh e aza
bano ko asghar...