Kanz e Aza

Ashoor ka Suraj

A noha written by Mirza Murtaza Ali. Lyrics in Roman Urdu.

ashoor ka suraj jalta hai

har khaak ka zarra jalta hai

jalti hai zameene karbobala

ya arsh e moalla jalat hai


ansar ke qaime jalte hai

shabbir ka qaima jalta hai

islam ki dunya jalti hai

kaabe ka musalla jalta hai

ashoor ka suraj…


naize jo jaga di hai dil mein

aisay ke jigar ka kya kehna

akbar ko sukoone qalb mila

laila ka kaleja jalta hai

ashoor ka suraj…


quran ke padne walon ne

quran ko jala kar khaak kiya

yaseen ka sura jalta hai

quran ka paara jalta hai

ashoor ka suraj…


ghar baar jalaya ummat ne

kya khoob ye ajre risalat hai

jalti hai mohamed ki masnad

baysheer ka jhula jalta hai

ashoor ka suraj…


itrat pe nabi ke jor o sitam

kya khoob musalmano ne kiya

zainab ki rida kya jalti hai

islam ka parda jalta hai

ashoor ka suraj…


rakhi jo fidak mein chingari

ye sholay usi ke nikalte hai

kya aag baghawat ki phaili

ran karbobala ka jalta hai

ashoor ka suraj…


baysheer ki tashna dahani ne

ek aag lagadi pani mein

asghar ke tabassum par ab tak

darya ka kinara jalta hai

ashoor ka suraj…


qaime mein sakina dekhti hai

jab yaas se khaali saagar ko

saahil pe tadapta hai laasha

saqqa ka kaleja jalta hai

ashoor ka suraj…


thi kufr ko emaan se takkar

ghar baar nabi ka jal ke raha

jalti hai jidaar e kaaba e deen

emaan ka qibla jalta hai

ashoor ka suraj…


zanjeer zani ye seena zani

tum hum ko na samjho deewane

shabbir tumhare matam se

dil aur kisi ka jalta hai

ashoor ka suraj…


sad-haif ke misle range hina

kubra ka suhaag ab jal hi gaya

is dashte bala mein ay mirza

kya kya mai kahoo kya jalta hai

ashoor ka suraj…