Kanz e Aza

Azan Do Ay Mere Dilbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mirza Murtaza Ali. Lyrics in Roman Urdu.

azan do ay mere dilbar savera hone wala hai

tumhare baad aalam mein andhera hone wala hai


kaha sarwar ne akbar se ujala hone wala hai

bala ke ban mein ek khooni savera hone wala hai

hamare khoon se rangeen sehra hone wala hai

kaleje se tumhare paar naiza hone wala hai

azan do ay mere dilbar...


rasool allah ki itrat par aafat aane wali hai

ali ke naunehalon par musibat aane wali hai

nabi ki aal par subhe qayamat aane wali hai

aseerane haram ki shaam e ghurbat aane wali hai

azan do ay mere dilbar...


shaheede zulm hojayenge bhai bhi bhatije bhi

tahe tayghe sitam hojayenge bache bhi boodhe bhi

chidegi gardane asghar jawano ke kaleje bhi

chalenge teer bhi talwar bhi khanjar bhi naize bhi

azan do ay mere dilbar...


juda shaane kisi ke aur kisi ke sar qalam honge

na abbas e jari honge na tum honge na hum honge

hamare qaanwade par bahot zulm o sitam honge

jafaon par jafa hogi bala honge alam honge

azan do ay mere dilbar...


labe darya mere haaton pa naazon ka pala hoga

zaban sookhe labon par hogi aur manka dhala hoga

sitam insaniyat par is se bad kar aur kya hoga

mere baysheer ki gardan mein teer e hurmala hoga

azan do ay mere dilbar...


sitamgaron ka nargha hoga aur aale abaa hogi

rasan basta hamare baad binte murtaza hogi

bhare darbar mein zehra ki beti berida hogi

meri nanhi sakina par tamachon ki jafa hogi

azan do ay mere dilbar...


shab e ashoor sheh ke qaimo mein mirza tha ek mehshar

basad hasrat pisar se apne farmate thay jab sarwar

mere kadiyal jawan ay hoo baroo hamshakale payghambar

tumhare baad ay noore nazar hai khaak aalam par

azan do ay mere dilbar...