ashoor ka suraj dekhega
abbas e dilawar maqtal mein
be-izne wigha jab aayega
toofan uthega sehra mein
aur darya se takrayega
maqtal ki fazaon ko phir se
ek baar ali yaad aayega
ashoor ka suraj dekhega...
ashoor ka suraj dekhega
shaane pe sajaye mashkeeza
aayega jari haathon mein liye
bas ek alam aur ek naiza
jab ghaat ka pehra tootega
dil zaalim ka ghabrayega
ashoor ka suraj dekhega...
saahil ki hawa ki thandak mein
ghode ka badan jab haampega
bechain sumon ki taapon se
jab darya thar thar kaampega
jab abr ki soorat darya pe
ek tashna dahan chajayega
ashoor ka suraj dekhega...
jab maujein behte darya ki
uth uth ke raqaabe choomengi
jab garm hawaein pyason ke
qaimon ki tamaawe choomengi
jab aab rawan ke seene pe
ghazi ka alam lehrayega
ashoor ka suraj dekhega...
pani mein girega mashkeeza
jab katne waale haathon se
kat kar bhi apne maqsad se
na hatne waale haathon se
jab farte nidamat se darya
mashkeeze mein aajayega
ashoor ka suraj dekhega...
gham dil mein sambhale bachon ke
haathon ke larazte koozon ka
jab pani lekar palthega
qaimon ki taraf sardare wafa
be taygh jari ke seene pe
har samt se hamla aayega
ashoor ka suraj dekhega...
jab gurz lagega chehre pe
jab shaane girenge kat kat kar
jab khaak udegi maqtal mein
jab laash bahegi matti par
jab mashq chidegi teeron se
dil saqqa ka phat jayega
ashoor ka suraj dekhega...
jab ghazi kahega maula se
ek baar hamiyat hai aaqa
qaimon mein mujhe na le jaana
bas itni wasiyat hai aaqa
gar laash gayi qaimon ki taraf
sar zainab ka khul jayega
ashoor ka suraj dekhega...
jab maula tanha lautenge
aankhon mein lahoo ke ashk liye
ek khoon mein dooba surkh alam
teeron se chidi ek mashk liye
jab kooze girenge haathon se
kulsoom ko ghash aajayega
ashoor ka suraj dekhega...
masoom sakina poochegi
hai mashk o alam pe kiska lahoo
kyon laut ke wapas aaye nahi
kyon laaye nahi pani ammu
ye sunke amma fizza ki
aankhon mein lahoo aajayega
ashoor ka suraj dekhega...
dil apna dhadakta hai mazhar
naqvi jo ishqe karbal mein
ye bhi hai karam un haathon ka
jo haath kate thay maqtal mein
jab ahle aza ke ashkon mein
har lafz mera dhal jayega
ashoor ka suraj dekhega...