Kanz e Aza

Atthara bhayiyo ki bahen qaid hui hai

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

atthara bhaiyo'n ki behen qaid huwi hai

pardes me zainab pe qayamat ki ghadi hai

hamraah muhafez the amaari thi rida thi

yasrab se basad shaan chali jis ki sawari


be aasra maqtal se wohi bibi chali hai

rota hai tadapta hai dil-e-abid-e-muztar

girjata hai sar ghazi ka naize se zamee'n par

rassi jo nabi zadi ke haato'n me bandhi hai


imdaad ko shehzaadi bhala kisko pukaare

islam pequrbaan huwe saare sahaare

pardes me majboor bohat binte ali hai

wo jisko andhere ne bhi dekha na khule sar


laaye hain usey din ke ujaale me sitamgar

chadar bhi nahi sar pe, gharibul watani hai

jab shimr sakina ko lagata hai tamache

us waqt sada deti hai zainab yehi roke


zalim meri bachi bade nazo'n ki pali hai

saidaniya'n har gaam pe kehti hai tadapkar

ham aale mohd hai'n yun barsao na phathar aur saare sitamgaro'n ke hoto'n pe hasi hai

darbar me ek aur qayamat huwi barpa


dildoz nazara tha jo zainab ne hai dekha

bhai ka hai sir aur sitamgar ki chhadi hai

likhne ki kamaal ab to nahi taab qalam me

maghmoom hua saara jaha'n bibi ke gham me


roya wo bohat jisne ye tareeq padi hai