ay alamdar alamdar alamdar abbas
tune qurban dil o jaan kiye sarwar par
bibi zehra ke pisar lakhte dile hyder par
tu hi bhai tane tanha tha har ek lashkar par
lashkar e shaam tha abbas teri thokar par
tu bhi hai misle ali haq ka wali sher e khuda
ay alamdar...
tujhko beta kaha zahra ne sharaf tera hai
karbala teri madina o najaf tera hai
jo bhi dushman hai shahe deen ka hadaf tera hai
khelna taygh se khanjar se shafaq tera hai
hyderi waar hai abbas har ek waar tera
ay alamdar...
sabr ke taaj ka ek saaya mein akkas hai tu
kitne jasbon ka haseen paykar o ehsaas hai tu
qaima e shah mein pyason ke liye aas hai tu
naaz tujhpar hai shujaat ko ke abbas hai tu
sahibe haq o yaqeen maalike tasleem o raza
ay alamdar...
karbala kya hai wafaon ke samandar ke siwa
sabr o eesaar hai kya ek tere paikar ke siwa
deen e haq aur hai kya zarbate hyder ke siwa
deen ki bunyad hai kya sajda e sarwar ke siwa
quwwate baazu e shabbir rukhe haq ki riza
ay alamdar...
raahe islam mein haaton ko kataya tune
zulm jhela kabhi sar na jhukaya tune
lafze bayyat ko zamane se mitaya tune
parcham e deen e elaahi ko bachaya tune
tujhpe qurban dil o jaan wafaon ke khuda
ay alamdar...
aabroo pyas ki rakhli hai tere honton ne
haath islam ko bakshe hai tere shano ne
alam o mashk sambhala hai tere daaton ne
haq ko zakmo se bachaya hai tere zakhmo ne
goonjti nauhe mein hai akhtar o mohsin ki sada
ay alamdar...