ay alamdar e haram
saaqi e tishna labaan ay alamdar e haram
hyderi sher e jawan ay alamdar e haram
marhaba sher ejawan ay jawan ay jawan ay jawan
ay alamdar e haram
ay shehanshah e wafa saani e hyder maula
ay sakina ke chacha fatema zehra ki dua
fauje shabbir ke salaar alamdar e wafa
bani hashim ke qamar naaz e shah e karbobala
maula qurban dil o jaan ay alamdar e haram
saaqi e tishna laban...
haye wo shaam e ghariban wo qayamat ka samaa
haye sadaat ke jalte huwe qaimon ka dhuaan
bibiyan karti thi ro ro ke yehi aah o fughaan
aao abbas ridaon ke muhafiz ho kahan
ho kahan sher e jawan ay alamdar e haram
saaqi e tishna laban...
kab na bibi ko alamdar chacha yaad aaya
aaya jab shaam ka bazaar chacha yaad aaya
na mila saaya e deewar chacha yaad aaya
jab tamanche lage har baar chacha yaad aaya
thi sakina ki fughan ay alamdar e haram
saaqi e tishna laban...
hum azadaron ki taqdeer jaga do maula
karbala ka hamein zawwar bana do maula
apni jageer ka deedaar kara do maula
rauza e hazrat e shabbir dikha do maula
hai yehi wird e zaban ay alamdar e haram
saaqi e tishna laban...