Kanz e Aza

Ay Ghazi Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

ab nahi jeene ki kuch aas ay ghazi abbas

mai bhi aata hoo tere paas ay ghazi abbas


dard tum mujhse judaai ka na seh paoge

bin mere khuld e bari mein bhi reh paoge

mujhse ulfat jo hai kuch khaas ay ghazi abbas

ab nahi jeene ki kuch aas...


shaane ye tere nahi baazu kata hai mera

bhai chautees baras waala chuta hai mera

ho gaya mujhko ye ehsaas ay ghazi abbas

ab nahi jeene ki kuch aas...


kab se deta hoo sada khaak se ab uth jao

aakhri baar kaleje se mere lag jao

nehr aayi na tumhe raas ay ghazi abbas

ab nahi jeene ki kuch aas...


aankh ke saamne laasha hai mere bhai ka

ashkiyan dete hai taana mujhe tanhaai ka

kya nahi tum ko ye ehsaas ay ghazi abbas

ab nahi jeene ki kuch aas...


kaise le jaun mai qaime mein alam ko bhaiya

tumse dhaaras thi bahot ahle haram ko bhaiya

sab ki ab toot gayi aas ay ghazi abbas

ab nahi jeene ki kuch aas...


utho sharminda hai ab tashna dahani tumse

haye maangegi na hargiz kabhi pani tumse

ab sakina ko nahi pyaas ay ghazi abbas

ab nahi jeene ki kuch aas...


aa gaya sakht musibat mein safeena mera

aa ke pardes mein chatka hai nagina mera

toot'ta hai mera almaas ay ghazi abbas

ab nahi jeene ki kuch aas...


ainee qaime mein jo abbas ka parcham paaya

jo bhi behosh tha aamir wo labe dam aaya

shor utha ye basad yaas ay ghazi abbas

ab nahi jeene ki kuch aas...