Kanz e Aza

Bacche Wo Kya Hue

A noha written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

ay tifle ghamzada ay tifle karbala

as salaam as salaam


baade hussain koi bataye mujhe zara

bacche jo bach gaye thay haram ke wo kya huwe


dil par rakho jo haat bataun mai maajera

bacche jo bach gaye thay haram ke wo kya huwe


hum ne suna hai akbar o asghar ka waqeya

qasim se gulazaar ka sarwar ka waqeya

abbas se shuja o dilawar ka waqeya

lekin khayaal tak na hamara idhar gaya

bacche jo bach gaye...


shaam e ghariban aayi udhar aayi fauje shaam

gauhar chine tamache lage jal gaye qayaam

faryad kar rahe thay yatimaane tashna kaam

lekin kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

bacche jo bach gaye...


aate jo dekha fauje sitam ko dehel gaye

bacche sehem ke qaime se baahar nikal gaye

is kashma kash mein ghodon ke neeche kuchal gaye

us raat ke andhere mein andher hogaya

bacche jo bach gaye...


pahunchi jo pushte qaima pe abbas ki behen

dekha zameen pe sote hai do phool se badan

neele pade hai ghodon ki taapon se khastatan

thay kis ke naunehal kisi ko nahi pata

bacche jo bach gaye...


karbobala se shaam ko nikla jo kaarwan

pushte shutar se bandh ke bacchon ke reesman

dhauda rahe they oont ko jallaad al amaan

nazuk si khaal jism se hone lagi juda

bacche jo bach gaye...


bacche tadap ke kehte thay ay baba pass aao

ham gir rahe hai oont se amma hame bacho

dil nikla jaa raha hai hame godh mein chupao

ye kehte kehte oont se har tifl gir gaya

bacche jo bach gaye...


bacchon ke khoon se pushte shutar laal hogayi

jo laash gir gayi wahin pamaal hogayi

dekha jo maa ne laash to behaal hogayi

kaise lagaye seene se baazu to hai bandha

bacche jo bach gaye...


karbobala se shaam talak gul khila diye

bacche jo gir gaye thay wahin par sula diye

zainab ne sang e meel ke katbe bana diye

do ashk unpe koi bahane nahi gaya

bacche jo bach gaye...


ainee palat ke aayi jo yasrab mein bibiyan

ujdi hui thi maang o khaali thi godhiyan

bacchon ko de rahi thi tasavvur mein loriyan

aamir har ek se poochti thi un ki maamta

bacche jo bach gaye...