sakina qaid ho kar shaam ke zindan mein jab aayi
wo bacchi us andhere ghar ki tareeki se ghabrayi
muqaddar ne ajab aafat ki pehli raat dikhlayi
zameen to farsh tha saaya fighan tha charkhe meenayi
phupi ke saath rehti thi na maa ke paas soti thi
barehna sar khadi zindan ke darwaze pa roti thi
pukari ro ke sakina bada andhera hai
ye kaisi qaid hai baba bada andhera hai
main ek kone mein baithi hui hoon sehmi hui
dikhayi kuch nahi deta bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
jigar figaar hai kamsin hai aur akeli hai
na jee sakegi sakina bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
tumhari laadli tanha hai koi paas nahi
madad ko aaiye baba bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
agar ho aana to asghar ko saath mat laana
jahan mai qaid hoon baba bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
tamache lagte hai mere jo dar ke roti hoon
magar mai kya karun baba bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
behan se milne ko aao agar ali akbar
to ek charaagh bhi laana bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
bahot tadapte thay sajjad ye sada sun kar
behan bulaati hai bhaiya bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
koi charaagh jalane na aa saka haye
pukarti rahi dukhiya bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
kahan ke hai ye musafir shikasta haal o ghareeb
kahan kiya hai basera bada andhera hai
pukari ro ke sakina...
ab uska maqbara minaar e noor hai gohar
jo roz karti thi nauha bada andhera hai
pukari ro ke sakina...