bain karta hua khaak udata hua
tashana lab be-rida lo chala khaafla
sun ke shor e fughan ek kohram hai
bar sare karbala lo chala khaafla
rasm e parda gari jiske ghar se chali
shaahzadi wohi be-rida hogayi
mar na jaye kahin gham se binte ali
haye ab hoga kya lo chala khaafla
bain karta hua...
apni surat dikha do mujhe meri jaan
phir khuda jaane aana ho ya ke na ho
aao akbar utho hum ko ruqsat karo
maa ne ro kar kaha lo chala khaafla
bain karta hua...
saani e fatema binte sher e khuda
kaise bazaar mein jayegi be-rida
kaise tay hoga wo shaam ka raasta
ro rahi hai faza lo chala khaafla
bain karta hua...
pyar se jisko paala tha shabbir ne
usko jakda gaya tauq o zanjeer se
raah purkhaar par pa barehna safar
kaise hoga bhala lo chala khaafla
bain karta hua...
raakh qaime huwe sab asasa luta
be-sahara payambar ka kunba hua
shaam e ghurbat ke qaidi chale shaam ko
le chale ashkiyan lo chala khaafla
bain karta hua...
hai nabi zadiyan sar khule be-rida
kya ghazab hogaya kya sitam hogaya
be kajawa sawari aur aal e aba
shor e matam utha lo chala khaafla
bain karta hua...
jinki chahat pe kaunain ko naaz hai
jis ka saani zamane mein koi nahi
chaahne waale wo bhai aur wo behan
ho rahe hai juda lo chala khaafla
bain karta hua...
chaar jaanib se ye aa rahi hai sada
alvida alvida alvida alvida
apne pyaron ke laashon se ho kar juda
khoon rota hua lo chala khaafla
bain karta hua...
haal us waqt ka kaise gohar likhe
dekh kar suye maqtal sabhi ro diye
sab shaheedon ke laashe tadapne lage
jab ye aayi sada lo chala khaafla
bain karta hua...